Aapne suna hoga ke computer sirf 1 aur 0 samajhta hai lekin sirf 1 aur 0 se aapke photos, aapke videos, whatsapp ke messages aur baaki cheezein kaise ban jaati hain, ye koi nahi batata. Iska jawab 1947 ke ek choti si cheez mein hai, transistor.
Vacuum Tubes Se Transistor Tak Ka Safar


Aaj ek chip ki sabse zaroori aur sabse choti cheez ki baat karenge. 1 aur 0 asal mein ek switch ki do states hain, on ya phir off. 1945 ke computer ENIAC mein ye switches 17,500 vacuum tubes thi. Wo 27 ton ka tha aur ye tubes baar baar kharab hoti thi aur jal jaati thi. Phir 1947 mein bell labs mein ek transistor bana. Kaam iska wahi tha lekin kai zyada ye chhota tha, reliable tha aur kam electricity wala tha. 1950s mein computers mein tubes ki jagah transistors aa gaye aur radio mein bhi transistors aa gaye. Jiski wajah se radio itna chhota ho gaya ki aap isko kahin bhi le kar ja sakte the.
Transistor Kaise Kaam Karta Hai Aur Doubling System


Aaj ka transistor silicon se banta hai, ismein current ka ek path hota hai jise channel kehte hain aur usko control karta hai ek gate. Gate par thori si aap voltage do to channel khul jaata hai yaani jisko one kehte hain. Voltage hata do to channel band ho jaata hai, jisko hum zero kehte hain. Ek switch ho to aapke paas do combinations hain uski, do ho to aapke paas chaar aa jaati hain, teen ho to aath aa jaati hain. Har naya switch iska options double kar deta hai. Iska matlab ye hai ke agar aapke paas aath switches hon to aapke paas 256 combination hain matlab, ab zero se le kar 255 tak count kar sakte hain iske upar. Isi doubling ki wajah se aapne phone ki storage ko dekha hoga ke wo 64, 128, 256 GB hota hai. Kabhi aapne ye nahi dekha hoga ke wo 100 GB ya 200 GB ka ho.
Letters, Colors Aur Logic Gates


Har letter ke liye ek number hai. For example, letter A ke liye 65. Screen ka har pixel red, green aur blue teen dots se banta hai. Aur har dot kitna bright hoga ye zero se le kar 255 ke beech mein ek number hota hai. To computer ke liye har cheez numbers hai aur computer ka number system ones aur zeros hain. Calculations ke liye bhi transistor ko jor jor kar logic gates banaye jaate hain, jo chote chote logical decisions karte hain. Binary mein aap one aur one ko add karo, to sum uska zero aata hai aur one carry mein chala jaata hai. Ek gate dikhata hai ke dono on hain aur wo carry deta hai. Doosra gate aapko dikhata hai ke ek on hai to wo sum de deta hai.
Ek Chip Mein Billions Transistors


Aise gates ko aap jorte jaao, to aap numbers aur numbers ko bhi add kar sakte ho, aur ye itna tez hota hai, jitni der mein aap palak jhapakte hain, phone ki chip ki switches karoron dafa on-off ho chuki hoti hain. Aaj aapke phone ki chip ke andar 20 se le kar 30 billion transistors hain. Agar aap 1 second mein ek transistor ginenge, to 30 billion transistors ginne mein aapko 900 se bhi zyada saal lag jayenge. Aur shuru shuru mein ye transistors ek ek kar ke banate the aur inhein ek ek kar ke taaron se haathon se jora jaata tha.












